baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tukishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tukishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho yun hi bahanay qayam rakhna, tum meray mer jaanay tukitna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana, aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk
Aankhain khuab dekhti hain Kisi say mil janey ka Ya khud ko kho denay ka Tanha reh janay ka Khud ko aar denay ka, Chahat haar denay ka Aankhain khuab dekhti hain Bichray huye lamhon ka Kisi raastay per mil janay ka Zakhmon kay sil janey ka Zamanay kay guzer janay ka Khuab kay hasil ki haqeeqat ka Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka Bikhray khuabon ki takmeel ka Tum to khud ik khuwab ho Husn ka, jawani ka Ik dard bhari kahani ka!!
Kuch door hamare saath chalo Hum dil ki kahani kehdein ge Samjhe na tum jisse aankhon se Woh baat zubaani kehdein ge Jo pyar karein ge jaanein ge Har baat hamari maanein ge Jo jaley na hon khudh ulfat mein Woh aag ko paani kehdein ge Jab pyaas jawan ho jaye gi Ehsaas ki manzil paye gi Khamosh rahein ge aur tumhein Hum apni kahani kehdein ge Is dil mein zara tum baitho to Kuch haal hamara poocho to Hum sada dil hain 'Ashk' mager Har baat poorani kehdein ge
Us nay kaha kon ho Tum? Main nay kaha Hasrat TumariUs nay kaha Taktey ho kya? Main nay kaha Surat TumhariUs ne kaha kartey ho kya? Main nay kaha Pooja TumhariUs nay kaha Kaafir ho kya? Main nay kaha aisa hi sahiUs nay kaha chatey ho kya? Main nay kaha Mohabbat TumhariUs nay kaha Pachtaoge, Main nay kaha KismatHamariUs nay Kaha Married hoon mai. Main nay kaha Sorry BAJI
Bana gulab to kantay chubha gaya aik shakhs, Hua chiragh to ghar hi jala gaya aik shakhs,Tamam rang meray aur saray khuwab meray, Fasanay thay k fasana bana gaya aik shakhs,Mein kis hawa main uron kis fiza mein lehraon, Dukhon key jaal her su bicha gaya aik shakhs,Mohabbaton nay kisi ki bhula rakha tha issey, Milley woh zakhm k phir yaad aa gaya aik shakhs,Khula yeh raaz k aina khana hai duniya, Aur is main mujhey tamasha bana gaya aik shakhs…!
behar-e-ishq main doob k daikh kabhi jaam-e-mohabbat pee k daikh kabhiher taraf tera hi aks nazar ayai ga meri aankhon mein pyar say daikh kabhighuror hay tujhey apni zulfon ki cha’aon ka meri palkon ki chaon mein baith k daikh kabhikaisi hoti hay tapish zamanay ki nigahon mein meray dil k aangun say bahar aa k daikh kabhikitni hoti hay mithas jazba-e-dar guzar main, kisi rothay howay ko mana k tu daikh kabhikerti hay kaisay khushu gul say parwaz ik bar mujh say door ja k daikh kabhi
Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga?Dartey ho jo tum narazgi say meri ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga?Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi Ban jayai agar pyar saza kaisa lagay ga ?Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per Woh shakhs hi dey jayai dagha kaisa lagay ga?Tum aur hi mehfil ka dia ban ker chalo phir Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga ?
Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya Mousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiyaChot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiyaMussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon Ya tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiyaHansta daikh ker hans paron, rota daikh ker ro paron, Halat k sanchay mein dhal jaon, tujhey is say kiyaZararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi, Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey is say kiya
Meri sanson mein teri khushboo to basee aaj bhi hai Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon Faaslay itney bhi ho jaain gai sochha hi na tha Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon
Main sun k uski sub batain, Faqat itna hi kehta tha, Khafa hona mana laina, Yeh sadiyon say riwayat hay, Gilay shikway karo mujh say, Tumhain janan ijazat hay, Magar ik baat meri bhi, Tum yaad rakh laina, Kabhi aisa bhi hota hay, Hawa’ain rukh badalti hain, Khata’ain ho hi jati hain, Khafa hona bhi mumkin hay, Khata hona bhi mumkin hay, Hamaisha yaad rakhna tum, Ta’aluq toot janay say, Kabhi toota nahin kertay…!