Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai, Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye, Kuchh milega e mera daste talab janta hai !Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita, Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise 'Saqi', WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai !Mera hasna use achha nahi lagta shayad, Warna wo meri udasi ka sabab janta hai !!
Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai, Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !WO chehra gam se kumhlane na paye, Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !Tabassum hai labon pe dil me nafarat, Yahi iss daur ka nakse wafa hai !Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai, Nahin maloom he kaisi saza hai !Zamana chup hai aur bole hai 'Zakhmi', Yah uski bezubaani ka sila hai !!
Bewafa waqat se wafa mange, Chhod! e dost tu e kya mange !Doston se bhi dil nahi barham, Bas isi zurm ki saza mange !Maut aaye to zindagi chahe, Zindagani me jo kaza mange !Be-hijabi bhi be-wafayee hai, Aayeena parda-e-wafa mange !Ab to khud ko mita liya hamne, Aur kya ab teri raza mange !Uski neeyat me khot hai zakhmi, Aur o pyar be raya mange !!
Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai, Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi, Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan, WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo, Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !Mauj masti ko honge dost hajaron lekin, Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !Kare Jo darj apana nam nahi safahon me, Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho, Basera khaak hai 'Saqi' wo basti kya hai !!
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin atayahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin atawho jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin atabohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin atakabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin atabhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
Ussay Keh Dou Kay Woh Mujh Ko Ronay Say Mat Rokay….. Bikhray Huwoon Ko Toofan Sanbhala Nahi Kartay…Ab Mehar Banion Ki Tumhari Tamana Nahi Humko….. Barastay Huway Baadil Kabhi Ujala Nahi Kartay…..Mat Qareeb Aao Meray Mujhe Bas Younhi Rehnay Dou… Tootay Huway Paimanay Mein Jaam Dala Nahi Kartay……Mat Sunao Logoon Ko Meri Barbaadi Ka Qissa… Kissi Kay Dil Kay Zakhmoon Ko Younh Uchala Nahi Kartay
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahinhai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin
usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia, kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai, Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga, Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay, Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker, Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay, Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia
Har ek lamha naya ik imtehan hai, bohut na-meharban yeh aasman hai,Dilon per barf girti ja rahi hai, Badan ka tajziya bhi raiga hai,main us say baat karna chahti hon, batao to sahi woh ab kahan hai,Anaa ki rait shamil ho gayai hai, Hawa say guftugu ab raigan hai,Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha, Meri janib say itna badguman hai…
har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka, har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna, Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,Khat layain na layain tera hum naama bron ko, Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko, Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi, Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka, Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan, Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay