Ghazal SMS
Page 1 of 29
Uss k honton ka tabassum rahay qayaim 'YA RUB' Uss k jeevan main khushiyon ka basaira ker day…Tu meri 'KARB' ki raaton ko bhalay khatam na ker, Uss ke her shaam k aakhir mai 'SAWAIRA' ker day.Uss k 'DIL' k kisi konay main jaga day mujh ko… Uss ki 'AANKHON' ko meray sapnon say khaira ker dayYeh meray dil ki dua hay 'MERA MOLA SUN LAY'… Saaaari duniya say chupa ker 'USSAY MERA KER DAY'
Zindagi qad e musalsal ka siwa kuch bhi nahi Kiya tha jurm- e -wafa is k siwa kuch bhi nahi Jeenay ki arzo ma roz mar rahey han Dawa teri muhabbat ka siwa kuch bhi nahi Khnchti ha appni taraf gulshan ki rang- o- bu Kashish phoolon ma khushboo ka siwa kuch bhi nahi Bhool jana aik naymat ha kuda ki islia Bhoolna tera haqeeqat ka siwa kuch bhi nahi Thora ha farq baqi insan aur hewan ma Saqi tujh ma muhabbat ka siwa kuch bhi nahi
Aaj dareechay main woh aana bhool gaya main bhi apna diya jalana bhool gaya,aaj mujhe bhi uski yad nahi aayi woh bhi mere khuwab main ana bhool gaya,bahaar ne jub se aana chore diya mousam bhi apna phool khilana bhool gaya,chalte chalte main usko gher lay aayi woh bhi muj se apna hath chudana bhool gaya,khat likha hai par khat ke koney par woh apni ankh ka ansoo mitana bhool gayarooth ke dono aik jaga baithey rahey main usko woh mujko manana bhool gaya
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man day do Apni muskurahatain apna bholapun day do Apni ankhain baksh do apna husn nawaz doApna sakhan day do apnay dil ka dhun day do Tumharay dum say meray jevan mein khushiyain hain bahar hayMein kuch kehna chahta hon mujhey tumse mohabbat hay, mujhey tum se pyar hay Meri in khuwahishon ko umid ki koi kiran day doApni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydo Tumhary siwa koi nahi meri soch, meray giyan mein Meray as pas, meray door tuk, meray thory say wajdan meinMein nay zara si khushbo mangi hay kub kaha chaman daydo Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man daydoK jub tum door chalay jao koi to tanhai mein sahara ho Tumhari zaat say mansoob kuch to hamara ho Mujhey meray khuwab mujhey meray dulhan day doMeri zindagi lay lo mujhey apna daman day do Agar apni zaat say kuch bhi daina nahin chahtay Mujhey apnay dukh apni aakhon ko sawan day doo
Jab seena gham se bojhl ho aur yaad kisi ki aati ho, Tab kamre mein band ho jana aur chupke chupke ro lena,Jab aankhein bhaari ho jaayen aur yaad mein meri bhar aayen, Phir khud ko dhoka mat dena,aur chupke chupke ro lena,Jab palken qarb se mondi ho aur sab samjhe tum sote ho, Tab chehre par takiya rakh lena aur chupke chupke ro lena,Yeh duniya zalim duniya hai…yeh baat bahut phelayegi, Tum sabke saamne chup rehna aur chupke chupke ro lena,Jab baarish chehra dho daale aur ashq bhi bonden lagte ho, Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro lena.
Apna Ehsas mar na jaye kahin Dard had se Guzar na jaye kahinUn ko dekhey hoye hoi Sadyan Un ka Chehra bikhar na jaye kahinAb k Awaz doon to aa jana Dil Deewana Sudhar na jaye kahinUn ka Wada to hai magar Dil ko Darr hai k kafir mukar na jaye kahinDard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahinMeri Dunya hai Dard ki Surat Gul ki Surat Nikhar na jaye kahinKhak se Aab tak to aa pohnchey Ab yeh Darya Utar na jaye kahinYeh Mohabbat b ek Bala theri Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahinIs liye Muskuraye phirta hoon Un ki Aankh b na bhar jaye kahinDil se guzra to hai magar Saqi Apni Jaan se guzar na jaye kahin
Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh koJab koi bhi na raha kandha meray ronay ko Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko Youn to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha Maut nay payar say pehloo main bithaya mujh koWoh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh koKaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko
Guzar gaee raat aankhon aankhon main Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon mainSadiyoun say piyaasi thee mohabbat Ho gaee bersaat aankhon aankhon mainMil na saka tha dil kabhi dil say Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon mainAhad-e-wafa or qasmoon ki bhi Ho gaee shuruaat aankhon aankhon mainDay diya dil aik doojay ko Ho gaee soghaat aankhon aankhon mainSab rasmoon riwajoon ko Saqi Ho gaee maut aankhon aankhon main
Kamzoor badbaan hay, hawa taiz kia karain Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda karain !apni tabahiyon main hi jub apna haath ho phir dhushmano k waastay kiya bad-dua karainShaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar Ham say chahta tha k hum iltija karainHamnay yun ghurbaton main raat bitayee hay sanam, Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada karainDuniya teray faraib say jobach k nikle To sahiloon pay hum bhi namazain ada karain
Meri aankhon main raho meri aankhon main raho, Roshni ban k meray ghar k chiraghon main raho.!Tera wada bhi na siyasi ho, Ab fazaon mein na udasi ho! Chuu k qadmon ko her khushi guzray, Kash ab yun hi zindagi guzray! Tum meray sath meray din meri raaton main raho, Meri aankhon main raho meri aankhon main raho!Pyaar mera tujh say kahta hay, Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay! Preet main teri ban k kho jaon, Meera k jaisi tu bhi hoo jayai! Ban k radha tum meri murli ki tano main raho, Meri aankhon main raho, meri aankhon main raho.!!Tujhey chaha hay tujhay chahonga, Mai na chahat say ba’az aaonga, Teri ulfat k jhulay ain jhulun, Saath tu day tou aasman chu lun, Gungunaon main tujhay, dil k taron main raho, Meri aankhon mein raho, Meri aankhon mein raho